Tuesday, August 7, 2012

Me barish ki tarah mohabbat karta raha logo se
Par mujhe nasib na hui kisi ki bhi mohabbat 
Me to barish ki bundo ki tarah har kisi khushi k liye lut gaya
Par koi mujhe esa nahi mila Jo meri khusi k liye kuch lamha hi barbad karta
Hey mere 

rab ye kesa ishq diya h mujhe is jaha me
Kesa deewana banaya tune mohabbat ka mujhe
Jaha dene k liye to lakho tamnna h mere pas
Par is jaha me mere liye pana kuch bhi mumkin nai
"143?"
Hasino ko dil todkar ruth jana ache se aata h
Koi usse puche k kya Hal h dil tutne k bad
Wo to chale gaye khud par gurur karke
But ab wo kese jiye jise apne pyar par gurur tha
"143?"


aaj kuch is tarah khamosh h juba meri
dil ki har tadap sunai de rahi h mujhe
sochta hu kuch is tarah saja du khud ko
na zindagi ho na jine ka hosh ho kabhi
na jane kyo log etbar nahi karte h sachi mohabbat par
or har bar jhute pyar par sab 

kuch gawa dete h
kash k meri pak mohabbt ko samjha hota usne kabhi
to zindagi k kisi lamhe me kabhi sikayat na hoti
wo bolte h mujhe ab etbar nahi raha kisi par
unhe kese batau k mera to tere siwa koi tha hi nahi
"143?"
zindagi ki kitab me akshar esa hota h yaro
jo humse pyar karte h hum unko nahi kar pate
or jinse hum mohabbat karte h wo humse nahi karte
akshar hume dhoka wahi log dete h is jahan me
jinse mohabbat hume sabse jyada hoti h
or us insan ki bat kabhi nahi mante 
jo duniya me humse sabse jyada mohabbat karte h
aksar hum apni galtiyo ki saja anjane me us saks ko dete h
jo humare liye khud ko bekrar karta h
or use sab kuch de dete h jo hume lutne aaya h
kash k log samjh paye meri itni si ibadat ko
k mohabbat usse mat karo jo tumhe sabse jyada acha lagta 
balki mohabbat usse karo jo tumhe sabse jyada mohabbta karta h
"143?"

dil rota h aksar use yad karke tanhai me
jab yad karta hu use to rab bhi nahi deta sath mera
na jane ye kis gunah ki saja di h mere rab ne mujhe
mohabbat di h dil me besumar par pyar karne wala koi nahi
apne hi dil ko tadpta dekhte h par karte kuch nahi
lagta h jese mohabbat se jyada acha sathi meri tanhai h
mehfil ho ya fir diniya ka koi sunsan kona
har lamha har mukam par sath to rehti h mere

"143?"





tuta tara bhi kisi ki khwish puri kar jata h
ye dil mohabbat me padkar na jane kesa ho jata h
jo kabhi nahi darta kisi se kabhi
wo apni mohabbat ko hi khone de darta h
tut kar bikar jana to shishe ki kismat hoti h dost
har lamhe me jhakam k
hana aashiko ki kismat hoti h
tut kar bikharana ese jese fool hawao me ho
tumhari hi khusbu se mehke uska aangan sari umar k liye
"143?"

Wednesday, June 27, 2012


uski har bat se mujhe mohabbat thi
or wo puchti rahi k meri kis bat par tum fida ho
kya batata use k kitni khashiyat h us skash me
lafj kam pad jati agar tarif uski karta
"143?"

Wednesday, June 13, 2012


wakt or rab ko chahe jo bhi manjur ho dosto
hum to apni mohabbat ko amar bana kar rahenge
sunayenge kuch is kadar is duniya ko apni dastan
har mohabbat karne wale ko khud par fakr hoga
"143?"


Friday, June 1, 2012


ye dil aakhir usi ka didar kyo chata h
jo aksar humse dur rahte h
kash rab koi esi inayat kar de
me tujhe sochu or tu mere samne ho
bas itna bata de mere rehnuma
agar tujhe dekhne ko dil tadpe to kya karu
"143?"

teri mohabbat me hum aksar kahi kho jate h

tujhe pass pakar hum is duniya ko bhul jate h
teri wo muskurata chehra hamesa meri aankho me rahta h
tera wo barish me baho ko felakar ghumna yad aata h
jab bhi tum hoti thi sath mere zindagi zannat hoti thi meri
kash k wo mohabbat k pal dobara wapas aa sakte
"143?"


Sunday, May 20, 2012


ye dil chahta h khud ko tere nam kar du
har subah har ek sham tere nam kar du
mera har lamha ho bas tere khushi k liye
tere liye lau duniya se har khushi churakar
tere dil par bhi apna nam likh du
tere honto par ho bas mera hi nam har wakt
mohabbat ki kuch esi dastan likh du
tere hantho me ho mehndi bas mere hi nam ki
teri god me apna sar rakhkar ye zindagi tamam kar du
chup na raho is tarah meri mohabbat
apni khamosh juba se tum bhi ijhar kar do
ye dil h bas tera hi is par koi sak nahi h
chukar dekho ye bas tera hi nam leta h hardam
"143?"


Sunday, April 29, 2012

sikayat thi unhe humse isliye hum unse dur chale gaye
mohabbat nibhane k liye khud ko chur kar gaye
wo pyar huamara pehchan hi nahi paye kabhi
unhe kya pata hume kitna yadpe h unki yad me
wo hume sitam dete gaye har lamha tadpa kar
humne bhi kabhi ehsas nahi hone diya unhe apne dard ka
kash na hota hume is duniya ka dar kabhi
na hota riti riwajo ka pehra is jahan me
agar dil se milan hota to kitni hasin hoti ye zindagi
hum bhi teri god me apna sar rakhkar hal-e-dil sunate
or tum pyar se dekhte hume to hum sawar jate
"143?"
 

Sunday, April 22, 2012

dekhte h mera yar mujhpe kitna sitam karega
mujhe bewafa kahkar kese khud wafa karega
socha tha har gam ko bhulkar uski ibadat karunga
par aaj wo mujhe khud hi gam dekar chala gaya
na jane kon si kami h mujhme mere yaro
jab bhi mohabbat se dekhta hu wo naraj ho jata h
pata nahi hume mohabbat karni nahi aati h
ya fir use hi humari mohabbat pasand nahi h
jise humne khud se jyada pyar kiya hume kya pata tha
ek din wo hi hume bewfa kahakar chod jayega
mohabbat ki dagar bhi kitni muskil h yaro
jise dur nahi jana chahte wahi chod jata h
"143?"
 

Friday, April 13, 2012

is bhid wale jajan me aaj bhi akela hu
jiska bhi sath humne diya wahi akela chodkar chala gaya
hum sath du bhi to kiskka jab har insan jakham de gaya
mehfile sajyai humne kuch logo ko khas banakar
or wo hume hi tanhai me chodkar chale gaye
sochta hu mere dosto k akela hi thik hu me ab to
khud par naj to hoga kam se kam k kisi share ki jarurat nahi
bas rab se itni dua mangta hu k thodi si himmat dena mujhe
tera ye parwana jalkar bhi roshan kar de is duniya ko
"143?"
 

Thursday, April 5, 2012


hum kis kadar h pagal koi nahi janta
kabhi ajmane ki galti na kar lena dost
khud ko jalakar rakh kar denge uski khusi k liye
hum wo parwane h jo jalne ka sok rakhte h
"143?"

Wednesday, April 4, 2012

kitni taklif hoti h jab apni mohabbat dur chali jati h
aksar hum jise sahar dekar uthate h wo hi hum tanha chod jate h
ehsan na karna kabhi kisi par mere dosto
warna wo hi insan aksar hume galt samjh kar chala jata h
kitni bhi mohabbat kar lo kisi se yaro
bewafai ka ilzam aksar pyar karne walo ko hi milta h
kuch log kehte h mohabbat rab ka sabse khubsurat tofa hota h
fir sachi mohabbat karke kyo log saja pata h kisi gunehgar k jese
aksar humare dil ko jakham dekar wo bach jate h
bas ek bar mafi mang kar har saja se dur ho jate h
un parwano ki koi nahi sochta k kitna dard hota hoga dil me
jo wafa k liye jal jate h or sama kahti h tum to bewfa nikle
"143?"

Saturday, March 31, 2012

hum rote rahe use yad karke puri rat
or wo kahte rahe k tumhe yad hi nahi aati h meri
uski har galtiyo ko humne bhula kar sath diya
or wo kehte rahe tumhe parwah hi nahi h humari
jab unka man huya hasa diya jab man hua rula diya
hum nibhate rahe apni wafa or unhone keh diya bewfa
bas gunah itna tha mera k humne kuch kaha nahi ye sochkar
unke dil ko kahi taklif na hi humari sikayat sunkar
"143?"


Thursday, March 22, 2012

kasti ho har bar sahil nahi chalata
kuch majhi bhi le jate h tutti hui kasti ko
har bar ye na socho k aapki kadar nahi kisi ko
bas us majhi ko talash karo jo aapko bhi apni kasti me le jaye
"143?"

hum jese pagal ko kon dega khushi
hum shayad kisi k layak nahi
hum jese parwane ko kon karega pyar
hum shayad kisi k mohabbat k layak nahi
"143?"



uski mohabbat ne zindagi kuch yu sikha dimohabbat ki us ibadat ki had bata diab to dar bhi nahi lagta is dil ko kisi jakham sekar sake har insan se mohabbat esi dillagi laga di"143?"

Monday, March 19, 2012


pata h hume yu bhul nahi sakti wo humko
isliye to ye dil is kadar rota h use yad karke
agar na hoti humari mohabbat me wafa 
to hum yu uske liye parwane na bante
"143?"

Sunday, March 18, 2012


 wakt bewakt hum use yad karte rahte h
jan kya bat esi h usme hum bhul nahi pate
ek bar ruk kar dekha usne to sanse ruk gayi
agar wo ikrar kar leta to na jane kya hota
"143?"

Saturday, March 17, 2012

mohabbat ko dil me kuch is kadar basaya h
dil se nikla har alfaz shari ban jati h
log kahte h aap shayri achi likhte ho
unhe kya pata hum to apna dil ki aawaz likhte h 

"143?"

aanshuo ko smbhal kar rakhna mere dost
aksar ye moti bankar kisi ki yad me nikal jate h
us beraham ko khabar bhi na hui kabhi
jiske intzar me humne apni zindagi gawa di
"143?"

Friday, March 16, 2012


dil tadpta raha puri rat so na paye use yad karke
kon kahta h log chale jane k bad wapas nahi aaya karte
wo aaya dhire se mere khwab me or aankho me aanshu de gya
ek bar fir wo mujhe apne mohabbat ki nisani de gaya
"143?


Thursday, March 15, 2012


 zindagi ka har lamha kuch naya sikhata h
ye to wahi sikh pata h jo zindagi k rishte ko nibhata h
aksar musibatse dar kar bhag jate h log
par hakikat h musibat hi hume jina sikhata h
"143?"
tere har gam ko apna bana lu khwish h meri
teri har muskan ko saja lu me apne hoto par
tere har dard ko apne dil me utar lu
teri har khushi me dundh lu apni khusi
tamnna h meri me rahu hamesha teri khatir
rab se mang lu me teri ibadat apni zindagi me
bas ek bar kah de tu k mohabbat h tujhe bhi mujse
us lamhe ko soch kar hi apni zindagi tere kadmo me bicha dunga
"143?" 

Tuesday, March 13, 2012



kash hum kah pate k hume kitni mohabbat h unse
kash unhe bhi humare izhar ka intzar hota
rote rahe dekh kar uski tasweer puri rat
or ye bhi na bata paye k so na paya teri yad me
kitna yad aati h wo har lamhe me kese batau
kash wo samjh jati mere bina kahne se
"143?"

Saturday, March 10, 2012


dil rota h aksar use yad karke tanhai me
jab yad karta hu use to rab bhi nahi deta sath mera
na jane ye kis gunah ki saja di h mere rab ne mujhe
mohabbat di h dil me besumar par pyar karne wala koi nahi
apne hi dil ko tadpta dekhte h par karte kuch nahi
lagta h jese mohabbat se jyada acha sathi meri tanhai h
mehfil ho ya fir diniya ka koi sunsan kona
har lamha har mukam par sath to rehti h mere
"143?"


Saturday, March 3, 2012



apni mohabbat ki kahani likhenge
kese khush rahte h gam me bhi ashiq
har lamha har wo bat likhenge
mohabbat k is dariya me dubenge bhi
or par karke ek nya itihas likhenge
"143?"

Sunday, February 26, 2012


aaj bhi yad aati h uski wo bachpane wali bate
jo hume is tanha zindagi me akela chod gaye
aaj bhi ro padti h ye aanke uski ek nazar k liye
jise hum kabhi dil se nial hi na paye
jism se ruh tak utra gaye wo is tarah zindagi me
k rab ko bhulkar uski ibadat karne lage
yaro dua karo k zindagi unko hamesa khus rakhe
jo hume tanhaiyo ki mehfil me duba k chale gaye
"143?"

Thursday, February 9, 2012




koi mere dil par is kadar naam apna likh gaya
chah kar bhi use kabhi bhula na paye
le gya jate hume mere sine se dil nikal kar
ab koi bataye dusra dil kaha se lau
bahut koshish ki usse dur jane ki
par har lamhe me uska pyar besumar tha
"143?"

Monday, February 6, 2012


jo h hi nahi kisi ki zindagi koi usse pyar kese kare
mohabbat ki bahut badi badi bate ki humne bhi aksar
par ab ja kar jana h ki gahrai se koi nahi bach sakta
shayad hume hi siddat se mohabbat karni nahi aayi
warna yu hume bich rah me chodkar wo kabhi na jate
"143?"

Sunday, January 29, 2012

chand ki roshni me kho jana chata hu
teri mohabbat me kho jana chahta hu
mujhe ab koi na jagana yaro
uski god me umar bhar so jana chahta hu
thak kar chur ho gaya hu wafa karte karte
ab to uska hokar fana ho jana chahta hu
"143?"

Wednesday, January 25, 2012

hum kabhi gulam nahi hue wakt k bhi
par uske mohabbat ki khatir ruk gaye
jab rab ne hi meri kismat me kuch likha
to usse aarju karu to karu kis bat ki
hoga uske sath sara jamana
par hum bhid me bhi hamesa akele dikhai denge
"143?"
 
jab koi kuch puchta h to lafj nahi hote kahne ko
or akele me khud se na jane kitni bat bol jate h
"143?"

Monday, January 23, 2012

aksar hum jisse dur jana chahte h wakt usi ko pass le aata h
or jis saks k sath hum puri zindagi bitana chahte h wo dur ho jata h
rab or wakt ka kesa karisma h ye yaro
insan jo sochta h wo hota nahi or jo hota h wo soch nahi pata
kitni bhi kosis kar le pyar karne wale apni mohabbar ko bhulane ki
wakt ka dariya use or yad dila hi deta h
kyo rab ne banaya mohabbar ko esa jo karta h wo pata nahi h
or jise chaht nahi h mohabbat ki use bina mange hi mil jati h
"143?"


Wednesday, January 18, 2012

bewfai karke to log aksar chale jate h
par sachai se kon kise apna bana pata h
har bewfa bhi roti h us mukam par jakar
jaha mohabbat aksar chup ho jati h
"143?"
 
ek love story

ek bar ek ladka ek ladki se bahut pyar karta tha but use bol bahi pata tha, but usne bahut himmat karke us ladki ko apne dil ki bat kahii or use shadi k liye papose kiya, to ladki ne kaha me us ladke se shadi karungi jo bahut ameer or smart hoga or use parpose ko reject kar diya, us ladke ka dil tut gaya but usne usse pyar karna nahi choda kyonki pyar kabhi kisi wajah ka mohtaj nahi hota h, 10 years bad wo dono ladka or ladki ek shopping mal me milte h, waha us ladkii ko dekhkar ladka use hii bolta h or puchta h aap kese ho, to ladki kahti h me achi hu or meri shadi ek ameer ladke se ho gayi h or wo bahut smart bhi h, uski monthly salery 1 lack rupees per month h, or itne hi der me us ladki ka husband waha aa jata h, us ladki ka husband us ladke ko good afternoon bolta h or bolta h sir aap yaha kese, is par ladki bolti h kya aap isko jante ho to uska husband bolta h yes ye mere boss h or inki income 10 crore per month h but sir kisi ladki se bahut pyar karte the but us ladki ne inse shadi karne k liye mana kar diya isliye mere boss ne aajtak shadi nahi ki. ye sunkar us ladki ki aankho me aansu aa jate h.

isliye dosto zindagi kabhi ek pal ki mohtaj nahi hoti bas waqt use mohtaj bana deta h.
"143?"
 

Saturday, January 7, 2012

aaj me aap sabko ek true love story batata hu

ek din ek ladke ne ek ladki ko bus stop par khada dekadekha or wo use dekhte hi pyar karne laga.usne usse bat karne ki koshish ki par jab tak wo uske pass gaya wo ladki bas me chali gayi or wo wahi khada dekhta raha, usne us ladki ko puri city me dundhna suru kiya, kuch dino bad us ladke ko pata chal k wo ladki ek music gallery me job karti h, wo ladka daily uski shop par music cd kharidene jane laga, kuch moths bad us ladki ko pata lag gaya k wo ladka usse pyar karta h, ek din jab wo ladka uski shop se cd kharidne ja raha tha tab uska accident ho gaya or uski death ho gayi, jab ye bat us ladki ko pata chali to wo us boy k ghar gayi or uski mom se mili, uski mom ne us girl ko apne bete ka room dikhaya, us girl ne dekha k jo us boy ne uski shop se cd kharidi thi wo ese hi pach rakhi h, ye dekhkar us ladki ko bahut dukh hua kyonki wo gilr us boy ko cd me love latter diya karti thi.
"143?"


Wednesday, January 4, 2012

itni siddat se jise hum mohabbat karte h
wo agar naraj ho jaye to sanse ruk si jati h
e mere rab use hamesa khush rakhna
jise mene duao me manga tha tujhse
"143?"


awara pachi tha me khule aasman me udne ka hosla tha
na kisi ki fikar thi na kisi dard ka ehsas tha
mohabbta karke pata chala k ab tak to zinda hi nahi the
mohabbat kiye bina zindagi ki khubsurti ka ehasa hi nahi hota
or mohabbat ho jaye to fir usse jyada koi khubsurat nahi hota
kisi ne mere pankh is tarah kat diye h
udne k liye sochta hu to bhi dard bardast se bahar hota h
e mere rab na dena kabhi kisi pyar karne wale ko esi saja
k wo insan jiye to sahi par sans lena muskil ho jaye
"143?"

Tuesday, January 3, 2012

e mere rab ye bata kyo ye dil uski yad me rota h
jo nahi tha mera kyo usi k liye sochta h
lakh koshi karu use bhulane ki to wo or yad aaye
ye saza h kisi gunah ki ya karam h mera
mene to dua me mangi thi sachi mohabbat
or tune use meri dhadkan me basa diya
he rab ab to tamnna h bas yahi is deewane ki
ya to use mera kar de ya fir
use meri umar dekar mujhe fanna kar de
"143?"
hum hale dil unhe sunate rahe or
wo mera dard sun kar muskurate rahe
hum bhi unki khushi k liye gate rahe,,
fir wo khud bhi roye or hume bhi rulate rahe
"143?"
 
teri mohabbat me deewane hue ja rahe h
har khushi de dur hue ja rahe h
e mere dil ki pari ek bar to apna chera dikha ja
hum tere didar k liye sadiyo se intazar kar rahe h
ab to laut kar aa jao, dil bahut ghabra raha h
kahi esa na ho mere yar k jab tu aaye to
mujhe maut se pyar ho jaye
ye dil tera h or bas tera hi rahega
ab to wapas aa jao ab inteha ho gayi h intzar ki
sadiyo se pyasa hu me tere pyar ka
laut aao or maf kar do meri har khata
jina muskil h tere bina or marna asan ho gaya h
bas ek bar aakar kah de mujhe bhi tujhse pyar h
hum kayamat tak fir tera inzar kar lenge
bas ek bar kah de ki tujhe bhi mujhse pyar h
"143?"
 
is bakwas zindagi me bhi kayamat bahut h..
berahm duniya me mohabbat bahut h.
dil agar sacha ho to insan hi rab ban jata h...
rab ko is duniya me chahne wale bahut h
"143?"
kon karta h kisi ko yad mar jane k bad
ped bhi gira deta h patte sukh jane k bad
bhul jati h ye duniya us khushi dene wale insan ko
yad karti h to bas gam dene wale setan ko
na jane duniya me itna gam kyo fela h
insan banne ki chaht me wo barbad hua h
chale the hum logo k dilo ki pyas bhujhane
khud ka dil ese jala k sakun na mila hume kahi
pukarte rahe hum rab ko duaye de dekar
usne bhi muh fer liya humse ye bolkar
kyo banaya us insan ko khuda tune
jise mene bheja tha is dharti par insan bankar
me to chala tha pyar ki dagar par ful lekar
raste me itne kante mile ki khud ko hi bhul gaye
logo ka gam kam karne ki chaht thi hume kabhi
aaj khud ka gam zindagi chura raha h humse
hume bhi bhul jayegi ye duniya ek din
kyonki hume chaht thi har ek k dil me basne ki
humne rab se manga tha ek khubsurat zindagi
rab ne kaha yahi h mere pass tere liye zindagi
humne bhi kabul ki us rab ki ye zindagi
jisme shayad hi kabhi muskurane ka mauka mile
bas chaht h itni k hum zinda rahe logo k dil me
panah mile har sache insan h dil me
"143?"
uski deewangi me hum is kadar dub gaye h
nikalna bhi chaheh to nikal na payenge zindagi bhar
e duniya walo koi to jakar use batao
k hume deewane h unke kis kadar yaha
mana k wo hume pasand nahi karte
par mere rab ne uske liye is dil me mohabbat di to meri kya khta
payar karne k liye koi wajah ho jaruri to nahi
bewajah bhi pyar ho jata h is zamane me yaro
me to use kabhi bewafa bhi nahi bol sakte yaro
kyonki usne to kabhi mujhse pyar kiya hi nahi
na jane kyo is dil ko aaj bhi uska intzar h
sab janta h fir bhi uske liye bekarar h
koi bataye mujhe kyo hui mohabbat mujhe unse is kadar
k sans lena bhi gunah lagta h uska nam liye bager
jiski surat dekhne ko dil bechen hua ja raha h
jiski awaj sunne k liye tapta rahta h
wo na jane kis duniya me khoye h
ek din puchunga me apne rab se
e khuda kyo di tune deewano k dil me itni mohabbat
jab zindagi bhar sath likha hi nahi tha to kyo milaya use tune
humne kabhi akele rahkar bhi sikayat to nahi ki tujhse
koi to jakar bol do yaro mere us beraham mohabbat ko
k ye deewana ab bhi bekarar h tere liye
teri har bat aaj bhi mujhe yad h mujhe usi tarah se
jese lagta ho abhi hi kuch kaha ho tumne
koi to bole mere beraham mohabbat se
k tera deewana aaj bhi bekarar h tere liye
k tera deewana aaj bhi bekarar h tere liye
"143?"
zindagi to mili par mera rab mere kismat me kisi ka pyar likhna hi bhul gaya..
hum chahte rahe bewajah unhe or wo ruswa karke chale gaye..
socha hum apni mohabbat se duniya sajayenge
par logo ne hume hi badnaam kar diya
"143?"
me to tha is duniya me awara panchi, udte ja rahe the khule aasman me
na kisi ki fikar thi na kisi ka dar tha kahi
fir tum aaye meri duniya me ek hasin kwab bankar
laga yu dinya me khubsurti bad gayi h or humari kismat chamak gayi
bina wajah hi karne lage tumse mohabbat bepnah
or socha humari mihabbat ko jankar tum khus ho jaoge
par pata laga tumhe to kabhi chahat hi nahi thi mohabbat ki
par humari fitrat bhi nahi thi piche hatne ki
humne apne hi mohabbat ko ibadat bana liya
jab tum chale gaye hume yaha tanha chodkar
wada kiya humne khud se is zindagi me
tum kahi bhi raho hum mohabbat karte rahenge tumse besumar
duniya chahhe jo bhi kahe mujhe nahi parwa h kisi ki
mera pyar mera rab or meri dewwangi meri ibadat h
tum chahe jo spcho mere bare me me hamesha tumhara hu
tum ho jao kisi or ki to bhi sikayat nahi hogi kabhi mujhe
me tumhara hu bas itna jan lo meri mohabbat
is dil me koi or aaye ab hume manzur nahi h
rab bhi agar kahe k bhu jao apni mohabbat ko
to me us rab ko hi bhul jaunga...
"143?"
aaj ek fariyad or karni h apne rab se
aaj ek zindagi or jini h is jahan me
na jane kab khatam ho jaye ye zindagi humari
kyonki ab to zindagi ki fariyad humne chod di humne
bas zidagi ki chah h to apne pyar k liye
warna ye zindagi ki virane se kam to nahi h
hume to nahi aata h logo ki tarah jina
is bhid me bewajah chalna, logo se milna
hum to mohabbat ki ek nayi duniya basana chahte h
bas rab ne hume manzur hi nahi kiya to kya kare
aaj ek nayi zindagi or ji lo mere dosto
na jane kal hum kaha ho or tum kaha
aaj apne sare gam mujhe de do
or meri sari khishiya le mere dosto
kyonki ab chaht nahi rahi h uske siwa kisi or zindagi ki
uske bin jina pade hume esi zindagi manjur nahi h
uske siwa mera or bhi koi rab ho hume manjur nahi h
"143?"
mohabbat karte raho e dosto
dekho ye duniya khud b khud pyari lagne lagegi
na rahegi tamnna fir or koi baki
na hogi is jaha me kabhi kisi se mafrat
socho agar har koi sachi mohabbar karne lag jaye
to ye duniya kistni achi ho jayegi
sara jaha khusnuma ho jayega,
diushman bhi dost ban jayenge sabko gale lagane ka man karega
socho agar mohabbat na hoti is jaha me to kya hota
tum bhi na hote hum bhi na hote or na hota humara khud
har koi dega ek dusre ko labi usmar ki dua
har koi hoga ek dusre k sath, no koi dur hoga na koi khafa
kitni pyari hoti h mohabbat ki duniya
ye jamane wale kya jane bina mohabbat k
"143?"
hum to chale jate unse milne jannat me bhi
par usne kabhi pukara hi nahi.
.hum to aankhe bichaye karte rahe uska intzar
or wo shayad mujhe bhul gaye
"143?"
na h wo mera deewana or na hi h use mohabbat mujhse
bas me ek deewana tha jo kar betha usse bepanah mohabbat
na ki mene kisi ki fikar na socha tha kabhi gam k liye
bas ek uske sath ki tamnna ki thi mene har waqt
shayad mujhme hi koi kami thi jo na bana paya use apna
wo to mujhe apna bana kar chala gaya
me hi na bana paya uske dil me jagah kabhi or wo mera rab ban gaya
chahyta raha me har waqt use, yad karta raha har lamha
har sans aane se pahle liya mene uska naam
or wo bola k tum kuch nahi ho mere liye, or na kabhi hoge
mene to use apna rab mankar apne hi rab ko ruswa kar diya
ab kiske dar par apni bahe felau, kis rab se mangu dua
koi nahi jo lauta de mera pyar mujhe
"143?"
uske bina nahi h ab koi kushi manzur ..
rab bhi agar de de hume jannat ka taj
to use bhi me kabul na karu uske bina..
uski chahat me sab khona hume manzur h
"143?"
 
meri zindagi wo h meri har khushi wo h,
agar h koi mazburi to kahe mujhse
me kayamat ko bhi rok dunga uske liye
bas ek bar bol de wo bhi mera h
"143?"
 
meri zindagi tum ho, meri bandagi tum ho
meri mohabbat tum ho, meri ibadat tum ho
mera rab tum ho, meri zannat tum ho
tere bina jina pade jis jaha me wo jannat na hume manjur ho
tere siwa or ko dekhne ki na kabhi chaht h hume
na tere siwa kisi or ki ibadat h hume
na hum tere siwa kisi or rab ki pooja karte h
he rab na de hume esi koi zindagi jime mera pyar na ho
nahi chahiye esa koi dard jime mere pyar ka ehsas na ho
nahi chahiye koi khushi esi jo mere pyar k bina aaye
agar rab tujhe apne is bande par yakin h to
mujhe mila de mere pyar se or nahi to
meri umar bhi kar de uski or mujhe fanna kar de
"143?"
intzar karenge hum tera sadiyo tak..
aankhe khuli rahengi maut k bad bhi..
agar mere pyar par sak ho to ajma kar dekh lena...
jannat chokar bhi yumhare pass aa jayenge ek awaz me
"143?"
 
uske bina nahi h ab koi kushi manzur ..
.rab bhi agar de de hume jannat ka taj
to use bhi me kabul na karu uske bina..
uski chahat me sab khona hume manzur h
"143?"
 
bas ab to thak kar chur ho jana chate h hum...
dil ko har dard se mazbur kar dena chahte h hum...
na rahe zindagi me koi bhi khwaish hume..
zindagi ko kuch yu jikar jana chahte h
"143?"
shine k har jakahm ko khud hi marham lagate rahe,
sare jaha se apna dard chuptae rahe.
socha kabhi na karenge zindagi me fir kisi se mohabbat par
pata laga yaha to apno ne hi ghaw me namak lagaya h
"143?"
aaj dil kar raha h khud ko kuch is tarah saja du
no na kabhi socha kuch esa kar du
hevan ki ruh bhi kap jaye mera dard dekhkar
wo bhi sitam dhana chod de is diniya par
rab ko bhi ho jaye kuch esa rhsas
k ek to gunah kiya h usne mujhe banakar
"143?"
 is jaha me na jane kitne deewane dafan ho gaye mere dost,
apni deewangi ko bacha kar rakhna yaha,,,
sab bhul jate h khushiyo k pal me
yad aate h to bas jab unhe taklif hoti h
"143?"
karte raho apne mphabbat ki ibadat yaro..
mohabbat humari kisi rab se kam to nahi ..
har dhadkan se pahle aaye naam uska juban par
kuch esi karo bandagi pane pyar se
"143?"
aansu to hote bahne k liye h par ise har kisi ko mat dikhana..
yaha to log har dil ke jakhmo ko uda dete h dhue ki tarah
"143?"
hum lot to aate unhone kabhi aawaz to di hoti..
hum dinya chod dete wo ek bar bal to dete.
.hum to unke liye kayamat bhi rok dete
wo bas ek bar hume dekh to lete
"143?"

Monday, January 2, 2012

Golden words

1. kabhi bhi kisi se koi umeed na rakho kyonki jab kisi se aap umeed karoge to aapko dard jarur milega, kyonki kai bar esa bhi hota h k samne wala to koshish karta h par humari kismat hi use pura nahi hone deti.

2. kabhi bhi kisi se jhuta pyar na karo kyonki har insan apne liye sacha pyar talash karta h or jab use dhoka milta h to wo tut jata h or fir wo bhi badle ki bhawna se ksi or ka dil todne or dhoka dene nikal padta h, isliye ho sakta h aapke ek dhoke se na jane kitne logo ko dhoka mil sakta h.

3. aap chahe jitna bhi pyar kar lo fir bhi thoda kam pad hi jata h, isliye agar aapko kisi se besumar pyar ho jaye to use ye mat mehsus hone do k aap usse kitna pyar karte ho, kyonki kai bar hum apne sabse jyada pyar karne wale ki parwah nahi karte or use bar bar hurt karte rahte h.

4. kabhi bhi kisi ache insan ko khone mat do kyonki ab is duniya me bahut kam ache log bache h jinki is duniya ko bahut jarurat h, ho sakta h aapki wajah se kisi or ki bhi kismat badal jaye.

5. kabhi bhi kisi par itna bharosa na karo ki wo aapka bharosa tod sake, kyonki bharosa wahi log todte h jinpar hum khud se jyada bharosa karne lagte h.

6. kai bar aansu or gussa dono ko pi jana chahiye kyonki gussa humare sabse kaibi ko humse dur kar deta h or aansu hume dya ka patr bana deta h.

"143?"
kash k humne kisi se kabhi itni mohabbat hi na ki hoti....
na hote hum itne ache to dil kabhi tutta hi nahi humara.....
na jane kyo har bar kimat hum jese logo ko chukani hoti h...
jab ki gunah karne wala har mafi mag kar chale jate h

"143?"
ya khoon pasina kaeke baha, ya taan k chadar sota ja
ye zindagi ki nav to chalti hi jayegi tu hasta ja ya rota ja

fanna ki kasti par lakho swar bethe k
kai ja chuke kai jane ko tyar bethe h

"143?"
na jane mera har apna mujhse dur hota ja raha h
har ek jakham nasur hota ja raha h
har jakham ko bharna chaha tha humne par wo or bhi gahre ho gaye
mere har apna mujhe paraya kar gya
koi nahi batata k meri khata kya h
bas jiska dil ne chaha wshi hume saja de gaya
lakho jakham kha chuke h dil par or abhi lakho khane baki h
har ek yaha khanjar liye betha h mujhe apna kahkar
socha koi to in jakhmo par marham lagayega
par jise bhi chaha wahi ek or jakham de gaya
har insan se sachi mohabbat ki mene
or har wo apna mujhe istemal ki cheez bana gaya
jab chaha use kiya jab chaha fek diya
yaha se waha, waha se yaha bhatkta raha me
koi nahi batata k mera gunah kya h yaha par
kya har ek se pyar karna hi sabse bada gunah h is jahan me
socha tha k kisi k liye mar sakte h to jina bhi sikh lenge
par yaha to sab paraye nikle koi nahi apna raha
chand dino ki zindagi h na jane kese gujregi yaro
jane se pahle har ek mafi magna chahta hu yaro

"143?"
zindagi ka har gam har jakham sahte rahe
pata bhi na chala k kab jinda the or kab mar gaye
zonda to ab bhi h par bas saans lene k liye
jise bhi chaho wahi hume bewfa bolkar chala jata h
kitne majbur h ab hum apni kismat k aage
logo ko khusi dene chale the or na jane kitno ko gam de bethe
kya hua kya nahi ab tak jan na paye h hum
bas rab se dua h itni si humari wajah se na dukhi ho koi kabhi
hume kisi ki khusi k liye khilona banne ko bhi tyar h
bas rab itna sa karm kar de ab to
jo dil k ajij h unhe khusiya de besumar
"143?"

pyar kara ja e deewane na soch k dard kitna h is zindagi me...
na kar aaasuo ki fikar na kar gam intzar ka..
mohabbat ki h to har saja manjur h is gunah k liye

"143?"
kaun sacha h kaun jhuta h koi nahi janta
kaha jana h kaha manjil h apni ab tak nahi pata
chalte ja rahe h hum to mohabbat bankar gumnam raho me
koi milega humsfar ya tanha rahe gi ye zindagi nahi pata
chaha humne jise khud ko bhulkar rab se jyada
wo to khud hume ab pahnchanne se bhi inkar kar deta h
har koi jakham par marham lagane k liye aate h
or har bar us jakham ko or taja kar jata h
socha k bhul jayenge use khud ko dekar saja
pata laga wo to har sans me basa h meri zindagi bhar k liye
koi to bataye kaha h manjil kya h mukam mera
kab tak chalna hoga yu bhigi palke lekar is jaha me
kabhi mera khuda mujhe milega bhi ya nahi
ya hum bhi gum ho jayenge is duniya ki bhid me
"143?"