Monday, January 2, 2012

kaun sacha h kaun jhuta h koi nahi janta
kaha jana h kaha manjil h apni ab tak nahi pata
chalte ja rahe h hum to mohabbat bankar gumnam raho me
koi milega humsfar ya tanha rahe gi ye zindagi nahi pata
chaha humne jise khud ko bhulkar rab se jyada
wo to khud hume ab pahnchanne se bhi inkar kar deta h
har koi jakham par marham lagane k liye aate h
or har bar us jakham ko or taja kar jata h
socha k bhul jayenge use khud ko dekar saja
pata laga wo to har sans me basa h meri zindagi bhar k liye
koi to bataye kaha h manjil kya h mukam mera
kab tak chalna hoga yu bhigi palke lekar is jaha me
kabhi mera khuda mujhe milega bhi ya nahi
ya hum bhi gum ho jayenge is duniya ki bhid me
"143?"

No comments:

Post a Comment